Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada - Ustad Nusrat Fateh Ali Khan

Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada - Ustad Nusrat Fateh Ali Khan

Альбом
Best of Shahenshah-e-Qawwal Pt. 2, Vol. 112
Год
2005
Язык
`Turku`
Длительность
420020

Zemāk ir dziesmas vārdi Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada , izpildītājs - Ustad Nusrat Fateh Ali Khan ar tulkojumu

Dziesmas vārdi " Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada "

Oriģinālteksts ar tulkojumu

Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada

Ustad Nusrat Fateh Ali Khan

Ya Khuda, jism mein, jabtak ye mere jaan rahe

Tujhpe sadke, tere mehboob pe, kurbaan rahe…

Kuch rahe ya na rahe, par ye dua hai ke Ameer

Nizaa ke waqt salaamat mera imaan rahey…

Allah ki hum, jalwagari dekh rahey hai

Ya husn-o-jamaal-e-madani dekh rahey hai

Jis waqt padho, salle-ala-ab-e-Muhammad

Samjho ke Rasul-e-Arabi dekh rahey hai.

Andheri raat hai, shamshudoha ki baat karo

Sitaaron aao, rukh-e-Mustafa ki baat karo

Na ki ro baad mein, koi dusra sawaal karo

Khudara pehle mere Mustafa ki baat karo…

Be-bandagi, urooj kiya, banda kar diya

Taara mere naseeb ka, tabinda kar diya

Itni badi huzoor ki banda-nawaaziyan

Mujhko mere sawaal ne sharminda kar diya.

Is karam ka karoon shukr, kaise ada

Jo karam mujhpe mere Nabi kar diya…

Mein sajata tha sarkaar ki mehfiley

Mujhko har gham se Rab ne baree kar diya…

Is karam ka karoon shukr, kaise ada

Jo karam mujhpe mere Nabi kar diya…

Gham-e-ashiqui se pehle, mujhe kaun jaanta tha

Teri zaat ne banaadi, meri zindagi fasaana

Khaalik ne mujhko meri talab se sivaa diya

Sarmaaya-daar-e-ishq-e-Muhammad bana diya…

Is karam ka karoon shukr, kaise ada.

Aaqa ne aake khwaab mein jalwa dikha diya

Mein so raha tha mera muqaddar jagaa diya

Is karam ka karoon shukr, kaise ada.

Unki jab shaan-e-kareemi pe nazar jaati hai

Zindagi kitne maraahil se guzar jaati hai

Be talab mujhko diye jaata hai dene waala

Haath uthte nahi, niyat meri bhar jaati hai…

Unke karam se bhar gaya, daaman-e-arzoo

Itna mila ke ab koi haajat nahi rahi…

Is karam ka karoon shukr, kaise ada

Jo karam mujhpe mere Nabi kar diya…

Mein sajata tha sarkaar ki mehfiley

Mujhko har gham se Rab ne baree kar diya…

Zikr-e-sarkaar ki hai badi barkatein…

Jab liya naam-e-Nabi, naam-e-Khudaa se pehle

Ho gayi mujhpe ataa, meri khataa se pehle…

Zikr-e-ahmed, ka wajeefa hai, har ek gham ka ilaaj

Lakh khatrein ho, isi naam se tal jaate hai…

Zikr-e-sarkaar ki hai badi barkatein

Mil gayi raahatein, azmataein, rifaatein…

Mein gunaahgar tha, be-amal tha, magar

Mustafa ne mujhe jannatee kar diya…

Lamhaa lamhaa hai mujhpar Nabi ki ataa

Doston aur maangun mein maula se kya…

Kya ye kam hai ke mere Khuda ne mujhe

Apne mehboob ka ummati kar diya…

Is karam ka karun shukr, kaise ada

Jo karam mujhpe mere Nabi kar diya…

Vairāk nekā 2 miljoni dziesmu tekstu

Dziesmas dažādās valodās

Tulkojumu pakalpojumi

Augstas kvalitātes tulkojumi visās valodās

Ātrā meklēšana

Atrodiet nepieciešamos tekstus dažu sekunžu laikā